Michammi dukkadam!

Bhagwan Mahaveer

Jo kuch bhi paap hua mujhse, michhami dukkadam leta hu|
Bhagwan aapki sakshi se, michhami dukkadam leta hu|
Gurudev aapki sakshi se, michhami dukkadam leta hu|
Apni aatma ki sakshi se, michhami dukkadam leta hu|

Panchashrav paap attahrah ka, jo sevan kiya karaya ho,
iss bhav mein ya peechle bhav mein, michhami dukkadam leta hu||

Karmo ke karta raag dvesh, ye naach nachate hai mujhko,
inke vash jo dushkarm kiye, michhami dukkadam leta hu||

Kaha Kaha meine janam liye, kaha kaha par kese maran kiye,
hai ata pata kuch bhi na chala, michhami dukkadam leta hu||

Kitno se naata toda hai, kitno se nata joda hai,
unn sab se khamat khamna kar, michhami dukkadam leta hu||

Jo mad-pramaad mein paap hue, anjaan-jaan mein paap hue,
unn sab ka aatma sakshi se, michhami dukkadam leta hu||

Samyag darshan, samyag gyan charan, ka kabhi nahi aacharan kiya,
bhatka mithyatva moh mein jo, michhami dukkadam leta hu||

Bhav Bhav mein mujhko bodh mile, sanyam samta ke phool khile,
muni shobha aatma shaanti paane, michhami dukkadam leta hu||

…Apni aatma ki sakshi se michhami dukkadam leta hu|